Skip to main content

Nazm by Ab Moqit



Sahar Ki Shabnam Raato Ka Siyah
Phool Khushbu Gulo Ki Ranginiya
Aab-o-hawa Har Mausam
Tanhai Mahfil Shaad-o-gum
Mar Mar Kar Ummed-e-hayaat
Hijr Ke Baad Visaal Ki Raat

Sab Ke Sab Aaye
Abhi Tak Tum Aaye Nahi!


Penned by
Ab Moqit
Dhanbad, Jharkhand, India 


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Raaz Dil Me Mere by Ab Moqit

Raaz dil me mere hasti ka hai, Jo kuch bhi hai dosti ka hai ! Aur to nhi kuch jahan me mera, Bas bachpan mere basti ka hai ! Yun hi gujar gaye barish to jana, Mausam kaghaz ki kashti ka hai ! Tere dam se raushan ye patthar, Tu jauhari jaise koi moti ka hai ! Mil kar hi tumse lagta hai dost, Ye umr abhi bhi masti ka hai ! Juda na kar zahid hame itne me, Ye khuda-parast wo but-parasti ka hai ! Har shaksh se milte hai is khayal se, Main hoon mitti ka wo bhi mitti ka hai ! Penned by Ab Moqit Dhanbad, Jharkhand, India    

Unke Hote Tak Kahan Kuchh Likh Paaye by Farman Saifi

Mera Budha Ghar by Bulbul Gupta