Skip to main content

Main Dil Ko Naraaz Karunga by Ishaan Baba

Main Dil Ko Naraaz Karunga Tujhe Teri Haqeeqat Bata Dunga..
Tadpunga Khud Bhi Tujhe Bhi Kadi Sazaa Dunga..

Yeh Dard Yeh Aansu Mera Hi Kyun Muqadar Ho..
Main Teri Bhi Inse Ab Mulaqaat Kara Dunga..

Har Mumkin Tum Ne Koshish Kiye Badnaam Mujhe Karne Ki..
Khud Apni Dastaan Ab Sab Ko Main Suna Dunga..

Wafa Karunga Ab Sirf Ajal Se Main..
Chala Jaunga, Tujhe Dikhawey Ki Duniya Mein Jeeney Ki Sazaa Dunga..

Tu Dikhawey Ki Bulandi Pe Hai, Gir Padega Kabhi..
Main Haqeeqat Ka Ek Din Tujhe Aayeina Dikha Dunga..

Bada Rahi Hai Mere Dukh Har Jhooti Baat Woh Teri..
Main Dil Se Har Yaad Teri Ab Mita Dunga..

Bohat Dinu Se Mera Dil Udaas Hai Ishaan..
Rok Ke Dhadkanein Ab Zara Iss Dil Ko Araam Dunga..

Main Dil Ko Naraaz Karunga Tujhe Teri Haqeeqat Bata Dunga..
Tadpunga Khud Bhi Tujhe Bhi Kadi Sazaa Dunga... "

Penned by
Ishaan Baba
Jammu & Kashmir


Comments

Popular posts from this blog

Koi To Apna Raha Hota by Priya Dwivedi

Sarhad by Mandvi Mishra

Raaz Dil Me Mere by Ab Moqit

Raaz dil me mere hasti ka hai, Jo kuch bhi hai dosti ka hai ! Aur to nhi kuch jahan me mera, Bas bachpan mere basti ka hai ! Yun hi gujar gaye barish to jana, Mausam kaghaz ki kashti ka hai ! Tere dam se raushan ye patthar, Tu jauhari jaise koi moti ka hai ! Mil kar hi tumse lagta hai dost, Ye umr abhi bhi masti ka hai ! Juda na kar zahid hame itne me, Ye khuda-parast wo but-parasti ka hai ! Har shaksh se milte hai is khayal se, Main hoon mitti ka wo bhi mitti ka hai ! Penned by Ab Moqit Dhanbad, Jharkhand, India