Skip to main content

Kalyug Ka Ravaan Hoon by Sagar Mishra

Kalyug ka ravan hoon,
Bhrashtachar se ek garib ki naukri chinunga,
Usse aaj berozgaar banaunga
Kalyug ka Ravan hoon,
Ek sunder ladki ki zindagi narak karunga,
Aur khud nirdosh ho jaunga.

Kalyug ka ravan hoon,
Sab ko marne ke liye Aatank se jud jaunga,
Bharat ko tod dunga aur aatank he failaunga.
Kalyug ka Ravan hoon,
Dahej ladki walo se mangumga,
Dahej na dene par ladki ko jeete ji jalaunga.

Kalyug ka ravan hoon,
Ladka hone ka sapne sajaunga,
Ladki hone par usse maut ka dwar dikhaunga.
Kalyug ka Ravan hoon,
Sara din dhua uddaunga,
Nashe ka dost hoon nashe nein Doobaunga.

Kalyug ka Ravan hoon,
Darindagi ka chola odhunga,
Aur sach ka path padhunga.
Kalyug ka Ravan hoon,
Itna Bura karunga ki
Us Treta Yug ke Ravan ko bhi sharminda kar doonga.

Penned by
Sagar Mishra
Bhilai, Chhattisgarh, India


Comments

Popular posts from this blog

Koi To Apna Raha Hota by Priya Dwivedi

Sarhad by Mandvi Mishra

Raaz Dil Me Mere by Ab Moqit

Raaz dil me mere hasti ka hai, Jo kuch bhi hai dosti ka hai ! Aur to nhi kuch jahan me mera, Bas bachpan mere basti ka hai ! Yun hi gujar gaye barish to jana, Mausam kaghaz ki kashti ka hai ! Tere dam se raushan ye patthar, Tu jauhari jaise koi moti ka hai ! Mil kar hi tumse lagta hai dost, Ye umr abhi bhi masti ka hai ! Juda na kar zahid hame itne me, Ye khuda-parast wo but-parasti ka hai ! Har shaksh se milte hai is khayal se, Main hoon mitti ka wo bhi mitti ka hai ! Penned by Ab Moqit Dhanbad, Jharkhand, India