Skip to main content

Meri Maa Ne Mujhe Sikhaya Hai by Harshit Singh

Nakambiyon ki jab ladi lag gayi thi
Har din jab mere himmat choor horahi thi
Us waqt hausala rakhana
Meri maa ne mujhe sikhaya ha

Zindagi me jab andhiyaari thi
Har subah jab mujhe kosate thi
Us waqt roshni-e-raasta dhudna
Meri maa ne mughe sikhaya ha

Meri manzil jab bhi thamthe thi
Har roj mujhese rukane ko kahati thi
Us waqt apni manzil-e-chahat ka daayra badhana
Meri maa ne mughe sikhaya ha

Bado ke kahe gaye shabdo se jab bhi is dil ko chot lagi
Har baar is baat se jab bhi mann me dard utha
Us waqt chupi sadhana aur sahi samay ka intezaar karana
Meri maa ne mughe sikhaya ha

Har koshish me mere jab bhi mujhe haar Mile
Har peher jab mughe kachot raha tha
Us waqt eklavy ki tarah Nishana sadahana
Meri maa ne mughe sikhaya ha

Bhavishy ki jab chinta thi har peher
Jab bhi ma apne path se ladkahada rahe tha ma
Us waqt bharosa-e-khudpar rakahana
Meri maa ne mughe sikhaya ha

Papa ke saaye ki jab bhi kami mehoos hue
Har baar jab ye dil Papa se milan ki aag me cheekh utha
Us waqt maa me baap ki chavi dekhana
Meri maa ne mughe sikhaya ha

Har yaad ko yaadgaar Banana
Meri maa ne mughe sikhaya ha
Har baat ko soch samghke ke sochna
Meri maa ne mughe sikhaya ha
Mughe ek acha insan banane ki rah-e-tarashna
Meri maa ne mughe sikhaya ha

Penned by
Harshit Singh


Comments

Popular posts from this blog

Sarhad by Mandvi Mishra

Sarhad by Mandvi Mishra

Koi To Apna Raha Hota by Priya Dwivedi