Skip to main content

Eid by Ab Moqit

Ku ba ku me khushiyan hain chhai
Pairahan pe khushbu aankhe surmai
Bachhon ki shor o gul me de rahi sunai
Dekho eid aayi eid aayi eid aayi

Kaha dekhne ko milti ye khushnumai
Gale milte sab de rahe hain dikhai
Bachhe budhe aur bhai bhai
Dekho eid aayi eid aayi eid aayi

Ghar ghar ja kar rasme nibhai
Sabhi ne mil kar khub hai khai
Lachcha sawaiyan aur mithhi mithhai
Dekho eid aayi eid aayi eid aayi

Khak ki gamo ko di mohabbat ki raushnai
Sabhi logo ne mil kar mahfil sajai
Haar hui burai ki jeet gayi achchhai
Dekho eid aayi eid aayi eid aayi

Kya bataye kya hai khudai
Rozedaaro ke liye saugaat layi
Jhuum uthhe diwane jhuum uthhi shaidai
Dekho eid aayi eid aayi eid aayi

Penned by
Ab Moqit
Dhanbad, Jharkhand, India


Comments

Popular posts from this blog

Koi To Apna Raha Hota by Priya Dwivedi

Sarhad by Mandvi Mishra

Raaz Dil Me Mere by Ab Moqit

Raaz dil me mere hasti ka hai, Jo kuch bhi hai dosti ka hai ! Aur to nhi kuch jahan me mera, Bas bachpan mere basti ka hai ! Yun hi gujar gaye barish to jana, Mausam kaghaz ki kashti ka hai ! Tere dam se raushan ye patthar, Tu jauhari jaise koi moti ka hai ! Mil kar hi tumse lagta hai dost, Ye umr abhi bhi masti ka hai ! Juda na kar zahid hame itne me, Ye khuda-parast wo but-parasti ka hai ! Har shaksh se milte hai is khayal se, Main hoon mitti ka wo bhi mitti ka hai ! Penned by Ab Moqit Dhanbad, Jharkhand, India