Ab aamaada aamaada mah-e-ramzaan,
Hai alwida alwida mah-e-ramzaan!
Hogi sahr shaam ab kaisi bhala,
chhod kar ab mah-e-ramzaan chala!
Ye iftaar aur sehri ki aab o dana,
Dua, tarawi, aur namaaz panjgana!
Isi maah ki tarah pura saal ho,
Har chehra nurani jamaal ho!
Kisi ki sadao pe ab na aah guzre,
Sabr o ibadat me har maah guzre!
Subuut de rahe hai aman o pyaar ka,
Dekhiye nazar ab Rozedaar ka!
Khushi hai ke qareeb eid hai,
Magar sab ka nam diid hai!
Ab aamaada aamaada mah-e-ramzaan,
Hai alwida alwida mah-e-ramzaan!
Penned by
Ab Moqit
Comments
Post a Comment